Friday, 24 February 2012

Tum rooth jao mujh se, aisa kabhi na karna

Tum rooth jao mujh se, aisa kabhi na karna,

Main ik nazar ko tarsoon, aisa kabhi na karna,

Main poochh poochh haaron, so so sawal kar ke

Tum kuch jawab na do, aisa kabhi na karna,

Tum mujh se mil ke hasna, mujh se hi mil ke rona,

Mujh se bichar ke jee lo, aisa kabhi na karna,

Mum chand ban ke rehna, main dekhta rahonga,

Kisi roz tum na niklo, aisa kabhi na karna,

Tum chale jao jab bhi, dekhon tumhara raasta,

Tum laut ke na aao, aisa kabhi na karna..........

No comments:

Post a Comment